Chaand Ki Katori:

Singers: Harshdeep Kaur
Lyricist: Vibhu Puri
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Chaand ki katori hai
Raat yeh chatori hai
Chaand ki katori hai
Raat yeh chatori hai
Saare taare ik taraf
Hoo saare taare ik taraf
Zindagi batori batori hai
Chaand ki katori hai
Raat yeh chatori hai

Rishtey cheenay mal mal ke
Hoo rishtey cheenay mal mal ke
Thand mein thithur ke sikhud ke bikhar jaate hai
Mohabbat ka sweater kis ke liye buntey hai
Saare taare ik taraf
Zindagi batori batori hai
Chaand ki katori hai

Khwaab yeh khwaab yeh
Rozana ki baarish mein gal jaatey hai
Gareebi ke maare hum
Haathon ka chaata banate hai
Saare taare ik taraf
Hoo saare taare ik taraf
Zindagi batori batori hai
Chaand ki katori hai
Raat yeh chatori hai

Daayein Baayein:

Singers: K K
Lyricist: A.M. Turaz
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Daayein baayein chahat chaaye
Phir se, bhooli bisri yaadein aayi
Ghir ke, kisne chaahat yeh barsaayi
Ho kisne chaahat yeh barsaayi
Neela ambar sarka jaise, sar se
Phir se, taare toote girke
Daayein baayein chaahat chaaye
Phir se, bhooli bisri yaadein aayi
Ghir ke

Mausam ka ehsaan hai
Tu mera mehmaan hai
Khidmat mein bolo jaan rakh doon
Hoo khidmat mein bolo jaan rakh doon
Tumse milke jiya aise, jaise
Phir se, jee utha hoon marrke
Daayein baayein chaahat chaaye
Phir se, bhooli bisri yaadein aayi
Ghir ke

Dhundhli Dhundhli:

Singers: Shankar Mahadevan
Lyricist: A.M. Turaz
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Dhundhli dhundhli shaam huyi
Ab toh waapas aa jaao
Dhundhli dhundhli shaam huyi
Ab toh waapas aa jao
Ke iss samay toh parindey bhi laut aate hain
Tumhare baad hamara haal aisa hai
Ke jaise saaz ke sab taar toot jaate hain
Ke iss samay toh, parindey bhi, laut aate hain
Dhundhli dhundhli shaam huyi
Tum toh gaye par yaad na gayi
Zubaan se meri fariyaad na gayi
Guzari na aisi koi saans
Jis mein tumhara naam na ho
Tab tak karunga yaad mein
Jab tak umar tamaam na ho
Tumhare haath se mera haath yun chhuta
Ke jaise bheed mein kuch haath chhoot jaate hain
Ke iss samay toh, parindey bhi, laut aate hain
Dhundhli dhundhli shaam huyi
Ab toh waapas aa jaao

Guzaarish:

Singers: K K, Shail Hada
Lyricist: A.M. Turaz
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Bas itni si
Tum se guzaarish hai
Guzaarish hai

Yeh jo baarish hai, dekho na
Yeh jo baarish hai
Iss mein teri baahon mein marr jaaun
Bas itni si, chhoti si
Ik khwaish hai
Bas itni si
Tum se guzaarish hai

Bas itni si tumse farmaaish hai
Yeh jo baarish hai
Dekho na, yeh jo baarish hai
Iss mein mere sang gunguna na na ..
Gunguna na na, gunguna na na ..
Iss mein mere sang gunguna na na
Kal radio pe aaya tha jo wohi wala gana
Gaate gaate baahon mein marr jaana
Bas itni si chhoti si ik khwaish hai

Bas itni si, tumse guzaarish hai
(haan guzaarish hai
guzaarish hai)

Jaane Kiske Khwaab:

Singers: K K
Lyricist: A.M. Turaz
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

jaane kiske khwaab
Takiye ke neeche raat, rakh jaati hai
Hala ke neendh nahi aati hai
Jaane kiske khwaab
Takiye ke neeche raat, rakh jaati hai

Jaagti aankhon mein bhi ab koi sota hai
Jab koi nahi hota, tab koi hota hai
Jaagti aankhon mein bhi ab koi sota hai
Jab koi nahi hota, tab koi hota hai
Jaane kiski baat
Honthon pe laake raat, rakh jaati hai
Hala ke neendh nahi aati hai

Keh Na Saku:

Singers: Shail Hada
Lyricist: Vibhu Puri
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Keh na saku main itna pyaar
Keh na saku main itna pyaar
Arrey seh na saku main
Seh na saku main itna pyaar
Keh na saku main itna pyaar
Itna pyaar karta hoon

Sajni
Tere uthne pe rukti hai
Takkne pe thamthi hai
Meri sansein tere hi ishaaro pe chalti hai
Tere uthne pe rukti hai
Takkne par thamthi hai
Meri sansein tere hi ishaaro pe chalti hai
Ek pal bhi reh na saku hoo
Ek pal bhi reh na saku
Itna pyaar karta hoon
Keh na saku main itna pyaar
Arrey seh na saku mein
Seh na saku main itna pyaar
Keh na saku main itna pyaar
Itna pyaar karta hoon

Sajni

Saiba:

Singers: Francois, Shail Hada, Vibhavari Joshi
Lyricist: Vibhu Puri
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Mazo saiba ho mazo saiba
Paala saalon se tha isse dil alvida (aye saiba)
Mazo saiba, mazo saiba
Paala saalon se tha isse dil alvida
Ruka rasta tha bithaya
Jag raat raat samjhaya
Paala saalon se hai dil
Yeh dil alvida

Baarish ko maine kaha
Aake bheego de rasta
Dil ko farak na pada
Jaldi aane ke basta
Mazo saiba, mazo saiba
Mazo sai sai sai saiba
Mazo saiba, mazo saiba
Mazo sai sai sai saiba
Paala saalon se yeh dil
Yeh dil alvida

Mazo Saiba ..

Sau Gram Zindagi:

Singers: Kunal Ganjawala
Lyricist: Vibhu Puri
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Thodi si meethi hai
Zara si mirchi hai
Sau gram zindagi yeh
Sambhaal ke kharchi hai
Asli hai, jhooti hai
Khaalish hai, farzi hai
Sau gram zindagi yeh
Sau gram zindagi yeh
Sambhaal ke kharchi hai
Thodi si meethi hai
Zara si mirchi hai

Der tak ubaali hai
Cup mein daali hai
Kadvi hai naseeb si
Yeh coffee gaadhi gaadhi hai
Chamach bhar cheeni ho
Itni si marzi hai
Sau gram zindagi yeh
Sau gram zindagi yeh
Sambhaal ke kharchi hai

Khari hai, khoti hai
Rone ko chhoti hai
Dhaagey se khushiyon ko
Seelti hai, darzi hai
Sau gram zindagi yeh
Sau gram zindagi yeh
Sambhaal ke kharchi hai
Thodi si meethi hai
Zara si mirchi hai

Life is good
Life is wonderful
Life is pain
Oh yeah yeah yeah
Life is good, life is good
Life is wonderful, wonderful
Life is pain
It all part of that game
Life is love
It all good
Thats the way

Sau gram zindagi yeh – 4 times

Tera Zikr:

Singers: Shail Hada, Rakesh Pandit
Lyricist: A.M. Turaz
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Ke tera zikr hai
Ya itr hai
Jab jab karta hoon
Mehekta hoon
Behekta hoon
Chehekta hoon
Oo ke tera, tera, tera zikr hai
Ya, itr hai
Jab jab karta hoon
Mehekta hoon
Behekta hoon
Chehekta hoon

Sholon ki tarah
Khusbuyon mein dehekta hoon
Behekta hoon
Mehekta hoon
Ke tera zikr hai
Ya itr hai
Jab jab karta hoon
Mehekta hoon
Behekta hoon
Chehekta hoon

(tera zikr hai
ya itr hai
jab jab karta hoon
mehekta hoon
behekta hoon
chehekta hoon)

Teri fikr hai
Ya fakr hai
Teri fikr hai
Ya fakr hai
Jab jab karta hoon
Machalta hoon
Uchalta hoon
Fisalta hoon
Paagal ki tarah
Mastiyon mein
Tehelta hoon
Uchalta hoon
Fisalta hoon
Ke tera zikr hai (haan zikr hai)
Ya itr hai (itr hai)
Jab jab karta hoon
Mehekta hoon
Behekta hoon
Chehekta hoon

Udi Neendein Aankhon Se:

Singers: Sunidhi Chauhan, Shail Hada
Lyricist: A.M. Turaz
Music Director: Sanjay Leela Bhansali

Lyrics:

Mil gayi, aaj aasman si
Aa gayi aagey main jahan se
Yeh kya hua
Mil gayi, aaj aasman si
Aa gayi aagey main jahan se
Yeh kya hua
Udi, neendein aankhon se
Judi, raatein khwaabon se
Mudi, yeh jaane main kahan
Udi, neendein aankhon se
Judi, raatein khwaabon se
Mudi, yeh jaane main kahan
Mil gayi, aaj aasman se
Aa gayi aagey main jahan se
Yeh kya hua

Paaon zameen pe hai ya badal pe
Uljhe sitaare aake aanchal se
Paaon zameen pe hai ya badal pe
Uljhe sitaare aake aanchal se
Jee li umar saari iss pal mein
Kuch bhi nahi ab mere kal mein
Udi, neendein aankhon se
Judi, raatein khwaabon se
Mudi, yeh jaane main kahan
Udi, neendein aankhon se
Judi, raatein khwaabon se
Mudi, yeh jaane main kahan
Mil gayi, aaj aasman si
Aa gayi aagey main jahan se
Yeh kya hua
[ Udi, neendein aankhon se
Judi, raatein khwaabon se
Mudi, yeh jaane main kahan ] – 3 times